Thursday, September 8, 2016

Maa ka pyaar!!!

Poochta hai jab koi duniya me mohabaat hai kaha?
Muskura deta hum mai aur yaad aagati hai "MAA"!!!


Maa janat ka phool hai,
Pyar karna uska usool hai,
Duniyaki mohabat fizool hai,
Maa ki har dua qubool hai,
Maa ko naraz karna insan teri bhool hai,
Maa ki kadmoki mitti jannat ki dhool hai!!!

Tuesday, August 16, 2016

Zindagi!!!

Kabhi hum tute toh
Kabhi jazbaat tuta!
Kabhi khwaab tute toh
Kabhi arman tuta!
Har ek tukada ayina hai zindagi ka
Har ek ayina yaad dilati hai tute huwe dil ka!!!


Zindagi bhi badi ajeeb hai
Jo socha woh kabhi nahi huwa
Jo huwa wuse kabhi nahi chaha
Aur Jo chaha woh kabhi nahi mila!!!


Kash yeh zindagi haseen hota
Khodko chahne se har duwa qubool hota!!
Kash zindagi me koi aisa bhi hota
Jise mere dard se thoda takleef bhi hota!!!

Saturday, August 6, 2016

Gham!!!

Gham to sabhi ke zindagimai hota hai
Tabhi muskurana zarori hota hai
Muskurane se gham kam nahi hote hai
Magar muskurane se gham se ladneki himat miltihai!!!

Saturday, October 24, 2015

HUM KO KIS KE GHUM NE MARA - Ghulam Ali

HUM KO KIS KE GHUM NE MARA YE KAHANI PHIR SAHI
KIS NE TODA DIL HAMARA YE KAHANI PHIR SAHI

DIL KE LUTNAY KA SABAB POOCHHO NA SABKE SAAMNE
NAAM AAYEGA TUMHARA YE KAHANI PHIR SAHI

NAFRATON KE TEER KHAKAR DOSTON KE SHEHAR MAIN
HUM NE KIS KIS KO PUKAARA YE KAHANAI PHIR SAHI

KYA BATAAYEN PYAAR KI BAAZI WAFA KI RAAH MEIN
KAUN JEETA KAUN HAARA YE KAHANI PHIR SAHI


Wednesday, April 23, 2014

Pyar Pyaar Hai!!!

Pyar pehli baarish ki boondon main hai
Pyar khilte phoolon ki khushboo main hai
Pyar ugate sooraj ki kirano main hai
Pyar udate panchi main hai
Pyar sang chalty hawaon main hai
Pyar in barasti ghataon main hai
Pyar doston ki wafaon main hai
Pyar har naye din ki umped hai
Pyar khwaab hai
Pyar jeet hai
Pyar nayi geet hai
Pyar do jahano ka sangeet hai
Pyar khushi hai
Pyar zindagi hai
Pyar tishnagi hai
Pyar bandagi hai
haath uttha ke jo maangi gayi hai dua
Pyar ka asar un duaon main hai!!!

Friday, April 11, 2014

Dil aakhir tu kyun rota hai!!!

Jab jab dard ka baadal chaya
Jab ghum ka saya lehraya
Jab aansoo palkon tak aya
Jab yeh tanha dil ghabraya
Humne dil ko yeh samjhaya
Dil aakhir tu kyun rota hai
Duniya mein yunhi hota hai

Yeh jo gehre sannate hain
Waqt ne sabko hi baante hain
Thoda ghum hai sabka qissa
Thodi dhoop hai sabka hissa
Aankh teri bekaar hi nam hai
Har pal ek naya mausam hai
Kyun tu aise pal khota hai
Dil aakhir tu kyun rota hai

Duniya mein yunhi hota hai

Tuesday, April 8, 2014

Zinda Ho Tum - Zindagi Na Milegi Dobara

This is an awesome poetry from the movie Zindagi na milegi dobara:
Dilon mein tum apni
Betaabiyan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum

Nazar mein khwabon ki
Bijliyan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum

Hawa ke jhokon ke jaise
Aazad rehna sikho

Tum ek dariya ke jaise
Lehron mein behna sikho

Har ek lamhe se tum milo
Khole apni bhaayein

Har ek pal ek naya samha
Dekhen yeh nigahaein

Jo apni aankhon mein
Hairaniyan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum

Dilon mein tum apni
Betaabiyan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum