Monday, May 27, 2013

Koyi Fariyaad by Jagjit Singh One of my favorite Ghazal

Below is one of the best and one of my favorite ghazal by Jagjit Singh :

Koyi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise
Tune Aankhon Se Koyi Baat Kahi Ho Jaise
Jaagte Jaagte Ek Umr Kati Ho Jaise
Jaan Baaki Hai Magar Saas Ruki Ho Jaise
 Har Mulaakat Pe Mehsoos Yehi Hota Hai
Mujhse Kuch Teri Nazar Pooch Rahi Ho Jaise

Raah Chalte Huve Aksar Yeh Ghumaan Hota Hai
Woh Nazar Chupke Mujhe Dekh Rahi Ho Jaise

Ek Lamhe Mein Simat Aaya Sadiyon Ka Safar
Zindagi Tej Bahut Tej Chali Ho Jaise

Is Tarah Pehron Tujhe Sochta Rahta Hoon Main
Meri Har Saas Tere Naam Likhi Ho Jaise

Koyi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise
Tune Aankhon Se Koyi Baat Kahi Ho Jaise
Jaagte Jaagte Ek Umr Kati Ho Jaise
Jaan Baaki Hai Magar Saas Ruki Ho Jaise

Thursday, May 23, 2013

Random collection of shayari...

  • Pyaar me koi dil tod deta hai,
    Dosti me koi bharosa tod deta hai,
    Zindagi jeena to koi gulaab se seekhe,
    Jo khud toot kar do dilon ko jod deta hai!!!
  • Na hume aapse shikwa hai, na shikayat hai,
    Hume to bas aap se chahat hai,
    Koi aa kar kehe aapko mohabbat nahi hai humse,
    To hum ye kahenge aapko jhooth bolne ki adat hai.
  • Kadmo ki duri se dilon ke fasle nhi badte,
    Dur hone se ehsaas nhi marte,
    Kuch kadmo ke fasla hi sahi hamare beech,
    Lekin aise koi pal nhi jab hum apko yad nhi krte..
  •  Waqt fisalta hai ret ki tarah,
    Hum bas use sambhalna bhul jate hai,
    Kuch log bahut khaas hote hai zindagi mai,
    Hum bas unhe pehchanna bhul jate hai!....
  • Parchaee Aapki Humare Dil Me Hai,
    Yaade Aapki Humari Aankhon Me Hai.
    Kaise Bhulaye Hum Aapko,
    Pyar Aapka Humari Saanson Me Hai.
  • Kitni jaldi zindagi guzar jaati hai,
    Pyaas buzthi nahin barsaat chali jaati hai,
    Aap ki yaadein kuchh iss tarah aati hai,
    Neend aati nahin aur raat guzar jaati hai!!!