Wednesday, April 23, 2014

Pyar Pyaar Hai!!!

Pyar pehli baarish ki boondon main hai
Pyar khilte phoolon ki khushboo main hai
Pyar ugate sooraj ki kirano main hai
Pyar udate panchi main hai
Pyar sang chalty hawaon main hai
Pyar in barasti ghataon main hai
Pyar doston ki wafaon main hai
Pyar har naye din ki umped hai
Pyar khwaab hai
Pyar jeet hai
Pyar nayi geet hai
Pyar do jahano ka sangeet hai
Pyar khushi hai
Pyar zindagi hai
Pyar tishnagi hai
Pyar bandagi hai
haath uttha ke jo maangi gayi hai dua
Pyar ka asar un duaon main hai!!!

Friday, April 11, 2014

Dil aakhir tu kyun rota hai!!!

Jab jab dard ka baadal chaya
Jab ghum ka saya lehraya
Jab aansoo palkon tak aya
Jab yeh tanha dil ghabraya
Humne dil ko yeh samjhaya
Dil aakhir tu kyun rota hai
Duniya mein yunhi hota hai

Yeh jo gehre sannate hain
Waqt ne sabko hi baante hain
Thoda ghum hai sabka qissa
Thodi dhoop hai sabka hissa
Aankh teri bekaar hi nam hai
Har pal ek naya mausam hai
Kyun tu aise pal khota hai
Dil aakhir tu kyun rota hai

Duniya mein yunhi hota hai

Tuesday, April 8, 2014

Zinda Ho Tum - Zindagi Na Milegi Dobara

This is an awesome poetry from the movie Zindagi na milegi dobara:
Dilon mein tum apni
Betaabiyan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum

Nazar mein khwabon ki
Bijliyan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum

Hawa ke jhokon ke jaise
Aazad rehna sikho

Tum ek dariya ke jaise
Lehron mein behna sikho

Har ek lamhe se tum milo
Khole apni bhaayein

Har ek pal ek naya samha
Dekhen yeh nigahaein

Jo apni aankhon mein
Hairaniyan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum

Dilon mein tum apni
Betaabiyan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum

Saturday, January 18, 2014

Chupke Chupke - sung by Ghulam Ali

"Chupke chupke raat din" is one of the notable work of Maulana Hasrat Mohani, which became very popular after it was sung by Ghulam Ali...
This noted ghazal has been sung by many other famous singers.

Chupke chupke raat din aansuu bahanaa yaad hai
Ham ko ab tak aashiqii kaa vo zamaanaa yaad hai

Tujhase milate hi vo kuch Bebaak ho jaanaa meraa
Aur teraa daaton mein vo Ungalii dabaanaa yaad hai

Chori Chori ham se tum aa kar mile the jis Jagah
Muddatein Guzarin par ab tak wo Thikaanaa yaad hai

Khinch lenaa vo meraa parde kaa konaa daffaatan
Aur Dupatte se teraa vo Moonh Chhupaanaa yaad hai

Do-pahar ki dhuup mein mere bulaane ke liye
Vo teraa kothe pe nange paaoon aanaa yaad hai

Baahazaaraan iztiraab-o-sad-hazaaraan ishtiyaaq
Tujhase vo pahale pahal dil kaa lagaanaa yaad hai

Jaan kar sotaa tujhe vo qasa-e-paabosii meraa
Aur teraa Thukaraa ke sar vo muskuraanaa yaad hai

Tujh ko jab tanhaa kabhii paanaa to az_raahe-lihaaz
Hal-e-dil baatoon hii baatoon mein jataanaa yaad hai

Jab sivaa mere tumhaaraa koii diivaanaa na thaa
Sach kaho kyaa tum ko bhii vo kaarKhaanaa yaad hai

Gair kii nazaroon se bachakar sab kii marzii ke Khilaaf
Vo teraa chorii chhipe raatoon ko aanaa yaad hai

Aa gaya gar vasl kii shab bhii kahiin zikr-e-firaaq
Vo teraa ro ro ke mujhako bhii rulaanaa yaad hai

Dekhanaa mujhako jo bargashtaa to sau sau naaz se
Jab manaa lenaa to phir Khud ruuTh jaanaa yaad hai

BeruKhii ke Saath sunaanaa Dard-e-Dil kii dastaan
Aur teraa hathoon mein vo kangan ghumaanaa yaad hai

Vaqt-e-RuKhsat Alvidaa kaa Lafz Kahane ke liye
Vo Tere Sukhe Laboon kaa thar-tharaanaa yaad hai

Baavajuud-e-iddaa-e-ittaqaa 'Hasrat' mujhe
Aaj tak ahad-e-havas kaa ye fasaanaa yaad hai

Thursday, January 16, 2014

Jagjit's last song!!!

Today I was listening to Jagjit's last song sung for the movie Bandook and though of posting it here ---

Mrigtrishna Marusthal ki
Chhalti ret roop dhar jal ki
Mrigtrishna Marusthal ki

Jeewan maran ke beeach mai saansein
Kabhi hai girti kabhi sambhalti
Mrigtrishna Marusthal ki

Kaise kahein ye karur ye vedna
Sunay kausika sunay chetna
Vikat roop se jhulsa jeewan
Jaane kyun ye saangh na dhalti
Mrigtrishna Marusthal ki

Aviral daya dristi mai ashru
Jidhar dekhta udhar hai shatru
Aaj pathik hai jo iss path ka
Jaane kyun naa raah wo kal ki
Mrigtrishna Marusthal ki

Jeewan mrig aparajit maan par
Kar raha hai athak pryaash nirantar
Lajeit mrituya shir sun rahi
Jeewan jharne ke chhal-chhal chhalki
Chhalti ret roop dhar jal ki
Mrigtrishna Marusthal ki

Jeewan maran ke beeach mai saansein
Kabhi hai girti kabhi sambhalti
Mrigtrishna Marusthal ki...